اردو हिंदी
Bulandiyon pe zamane hai kya kiya jae | Shaahi Shayari
bulandiyon pe zamane hai kya kiya jae

Ghazal

Bulandiyon pe zamane hai kya kiya jae

Noorul Ain Qaisar Qasmi

;

bulandiyon pe zamane hai kya kiya jae
hamein bhi chand pe jaana hai kya kiya jae

wo jis ke samne khulte nahin hain lab mere
usi ko sher sunana hai kya kiya jae

hawas ki zad pe taDapti sisakti duniya mein
waqar apna bachana hai kya kiya jae

nikal paDa hai koi ghar se bijliyan le kar
mera chaman hi nishana hai kya kiya jae

bahaar se hi Dare baiThe hain chaman wale
abhi KHizan ko bhi aana hai kya kiya jae