اردو हिंदी
Bulandiyon ka tha jo musafir wo pastiyon se guzar raha hai | Shaahi Shayari
bulandiyon ka tha jo musafir wo pastiyon se guzar raha hai

Ghazal

Bulandiyon ka tha jo musafir wo pastiyon se guzar raha hai

Meena Naqvi

;

bulandiyon ka tha jo musafir wo pastiyon se guzar raha hai
tamam din ka sulagta suraj samundaron mein utar raha hai

tumhaari yaadon ke phul aise sahar ko aawaz de rahe hain
ki jaise ThanDi hawa ka jhonka meri gali se guzar raha hai

alag hain nazren alag nazare ajab hain raaz-o-niyaz sare
kisi ke jazbe chamak rahe hain kisi ka ehsas mar raha hai

ajib josh-e-junun hai us ka ajib tarz-e-wafa hai mera
main lamha lamha simaT rahi hun wo reza reza bikhar raha hai

nazar mein rangin shamiyane mohabbaton ke nae fasane
ye kaun hai dil ke waswason mein jo mujh ko bechain kar raha hai

tamam alfaz miT chuke hain bas ek safha abhi hai baqi
use musalsal main paDh rahi hun jo naqsh dil par ubhar raha hai

wo mere ashkon ke aaine mein saja hai 'mina' kuchh is tarah se
ki jaise shabnam ke qatre qatre mein koi suraj sanwar raha hai