اردو हिंदी
Bulandi se kabhi wo aashnai kar nahin sakta | Shaahi Shayari
bulandi se kabhi wo aashnai kar nahin sakta

Ghazal

Bulandi se kabhi wo aashnai kar nahin sakta

Afzal Allahabadi

;

bulandi se kabhi wo aashnai kar nahin sakta
jo tere aastane ki gadai kar nahin sakta

zaban rakhte hue bhi lab-kushai kar nahin sakta
koi qatra samundar se laDai kar nahin sakta

tu jugnu hai faqat raaton ke daman mein basera kar
main suraj hun tu mujh se aashnai kar nahin sakta

KHudi ki daulat-e-uzma KHuda ne mujh ko baKHshi hai
qalandar hun main shahon ki gadai kar nahin sakta

sifat firaun ki tujh mein hai main musa ka hami hun
kabhi taslim main teri KHudai kar nahin sakta

jo zindan mein aziyyat par aziyyat mujh ko deta hai
main us zalim se ummid-e-rihai kar nahin sakta

jo kamtar hai baDai apni apne munh se karta hai
magar 'afzal' kabhi apni baDai kar nahin sakta