buland-o-past mein manzil hamein kahin na mili
jo aasman se nazil hue zamin na mili
gila nahin ki tera sang-e-astan na mila!
ye hai ki dida-e-tar ko wo aastin na mili
kabhi jo shana-e-uqda-kusha nasib hua
to us ki zulf-e-girah-gir o ambarin na mili
baja ki jaan-e-zuleKHa the misr mein yusuf
magar jo baat thi kanan mein wo kahin na mili
mile jo arsh pe KHuld-e-barin to kya hasil?
ki is zamin pe hamein jannat-e-zamin na mili
'rais' dad KHudawand-e-afrinash ko!
agar mili to ba-juz harf-e-afrin na mili
Ghazal
Buland-o-past mein manzil hamein kahin na mili
Rais Amrohvi