buland barq ke aage bhi hausla rakhna
jale jo ek nasheman to dusra rakhna
jo aazmana ho mujh ko to phir mere aage
KHum-o-surahi nahin sara mai-kada rakhna
wo sach ki khoj mein kis kis ka dekhta chehra
jo KHud hi bhul gaya sath aaina rakhna
kahin uga ho wo gulshan ho ya ki sahra ho
hamesha phul ki KHushbu se wasta rakhna
dilon ke beach mein diwar tanne walo
khuli hawa mein nikalne ka rasta rakhna
wo ajnabi ki shanasa ho ye KHayal rahe
milo jo us se to thoDa sa fasla rakhna
saubaton se jo dil TuTne lage 'kausar'
nazar ke samne taswir-e-karbala rakhna
Ghazal
Buland barq ke aage bhi hausla rakhna
Mukhtar Ahmad Kausar