bulate kyun ho 'ajiz' ko bulana kya maza de hai
ghazal kam-baKHt kuchh aisi paDhe hai dil hila de hai
mohabbat kya bala hai chain lena hi bhula de hai
zara bhi aankh jhapke hai to betabi jaga de hai
tere hathon ki surKHi KHud subut is baat ka de hai
ki jo kah de hai diwana wo kar ke bhi dikha de hai
ghazab ki fitna-sazi aae hai us aafat-e-jaan ko
shararat KHud kare hai aur hamein tohmat laga de hai
meri barbaadiyon ka Dal kar ilzam duniya par
wo zalim apne munh par hath rakh kar muskura de hai
ab insanon ki basti ka ye aalam hai ki mat puchho
lage hai aag ek ghar mein to ham-saya hawa de hai
kaleja tham kar sunte hain lekin sun hi lete hain
mere yaron ko mere gham ki talKHi bhi maza de hai
Ghazal
Bulate kyun ho aajiz ko bulana kya maza de hai
Kaleem Aajiz