اردو हिंदी
Bulana aur na jaana chahta hun | Shaahi Shayari
bulana aur na jaana chahta hun

Ghazal

Bulana aur na jaana chahta hun

Dr. Azam

;

bulana aur na jaana chahta hun
marasim bhi nibhana chahta hun

teri qurbat se kuchh lamhe chura kar
main apne pas aana chahta hun

kahan ye tai nahin kar paya lekin
kahin main bhag jaana chahta hun

kisi din gardish-e-ayyam ko bhi
main ungli par nachana chahta hun

zarurat to nahin tu hai zaruri
tujhe apna banana chahta hun

bahut sahra-nawardi ho chuki ab
Thikane ka Thikana chahta hun

asar karti nahin hai narm-goi
main ab nare lagana chahta hun