bulae jate hain maqtal mein hum saza ke liye
ki ab dimagh nahin arz-e-muddaa ke liye
azal ke roz hamein kaun se wo tohfe mile
ki hum se dahr ne badle gina gina ke liye
wo wade yaad nahin tishna hai magar ab tak
wo wade bhi koi wade jo mai pila ke liye
wo lamha bhar ki mili KHuld mein jo aazadi
to qaid ho gae miTTi mein hum sada ke liye
shumar-e-tar-e-gareban mein hai jo uljhe hue
wo hath bhi to hamein dijiye dua ke liye
bahut giran hai agar tum pe intizar-e-bahaar
hamara KHun sar-e-dast lo hina ke liye
Ghazal
Bulae jate hain maqtal mein hum saza ke liye
Wamiq Jaunpuri