bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein
dekho sham hai kis darja dilkash is dhup ki wardi mein
wahm-o-guman ke sahraon mein phul khile teri yaadon ke
aur charaghan dur tilak hai sanson ki is wadi mein
qahr-o-ghazab ke mimbar par hathon mein liye kashkol-e-wafa
jhank raha tha suraj bhi kal ghaur se ek surahi mein
dur khaDa ho kar main is liye pahron dekhta rahta hun
qaid bahut si yaaden hain meri is viran haweli mein
tahon ki pyas bhi sath par ab saf dikhai deti hai
DhunD rahe hain jaane kya ye baadal nili chhatri mein
ek hai andesha mujh ko kahin mere mar jaane ke baad
bech na den mere ghar wale meri qimti ghazlen raddi mein
rang aur KHushbu ki manind hai mera sarapa bhi sahib
qaid rakhega aaKHir kab tak waqt mujhe yun muTThi mein
bahr-e-mohabbat ke sahil ki sair bahut kar li hum ne
aao zara ab hum bhi dekhen baiTh ke pyar ki kashti mein
hirs-o-hawas ke sare pujari ek jagah hain aaj jama
waqt ki shaKH pe shayad koi phul khila hai jaldi mein

Ghazal
Bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein
Rafique Khayal