bujhti ragon mein nur bikharta hua sa main
tufan-e-nang-e-mauj guzarta hua sa main
har shab ujalti hui bhigi ruton ke KHwab
aur misl-e-aks-e-KHwab bikharta hua sa main
mauj-e-talab mein tair gaya tha bas ek nam
phir yun hua ki ji uTha marta hua sa main
ek dhund si falak se utarti dikhai de
phir us mein aks aks sanwarta hua sa main
dast-e-dua uTha to uTha us ke hi huzur
lekin ye kya usi se mukarta hua sa main
ab ke hawa chale to bikhar jaun dur tak
lekin teri gali mein Thaharta hua sa main
main bujh gaya to kaun ujalega tera rup
zinda hun is KHayal mein marta hua sa main
'ajmal' wo nim-shab ki duaen kahan gain
ek shor-e-agahi hai bikharta hua sa main
Ghazal
Bujhti ragon mein nur bikharta hua sa main
Kabir Ajmal