اردو हिंदी
Bujhti hui shaMein hoti hain Dube hue tare hote hain | Shaahi Shayari
bujhti hui shaMein hoti hain Dube hue tare hote hain

Ghazal

Bujhti hui shaMein hoti hain Dube hue tare hote hain

Manzoor Husain shor

;

bujhti hui shamen hoti hain Dube hue tare hote hain
mahfil ke ujaDne se pahle aasar ye sare hote hain

barbaad-e-mohabbat par aisa ek daur bhi aa hi jata hai
aaghosh mein suraj hota hai palkon pe sitare hote hain

ye zarf hai zarf-e-fikr-o-nazar har Dubne wala kya jaane
be-bahr bhi tufan uThte hain be-mauj bhi dhaare hote hain

nazzara to hai be-parda magar har dekhne wala kya dekhe
jo zarf-e-nazar mein aa na saken aise bhi nazare hote hain

tughyan-e-hawadis ki hamdam itni hi nawazish kya kam hai
kashti na sahi sahil na sahi tufan to hamare hote hain