اردو हिंदी
Bujhti hui aankhon ka akela wo diya tha | Shaahi Shayari
bujhti hui aankhon ka akela wo diya tha

Ghazal

Bujhti hui aankhon ka akela wo diya tha

Ahmad Sajjad Babar

;

bujhti hui aankhon ka akela wo diya tha
hijran ki kaDi shab mein aziyyat se laDa tha

rukta hi nahin tujh pe nigahon ka tasalsul
kal sham tere hath mein kangan bhi naya tha

ek chashm-e-tawajjoh se udhaDta hi gaya tha
wo zaKHm ki jis ko baDi mehnat se siya tha

bargad ke isi peD pe utrenge parinde
sailab-zada ghar ke jo aangan mein khaDa tha

darwesh ki kuTiya ke ye lashe pe bani hai
viran shikasta si haweli pe likha tha

taswir mein us ko hi sar-e-baam dikhaya
mazdur zamane ke jo panw mein paDa tha

wo zaKHm judai ka bhala kaise dikhega
malba jo mere jism ka andar ko gira tha

'babar' ho ki bahka hua jhonka ya sitara
teri hi gali mein hamein jata wo mila tha