bujhte suraj ne liya phir ye sambhaala kaisa
uDti chiDiyon ke paron par hai ujala kaisa
tum ne bhi dekha ki mujh ko hi hua tha mahsus
gird us ke ruKH-e-raushan ke tha haala kaisa
chhaT gaya jab meri nazron se sitaron ka ghubar
shauq-e-raftar ne phir panw nikala kaisa
kis ne sahra mein mere waste rakkhi hai ye chhanw
dhup roke hai mera chahne wala kaisa
'zeb' maujon mein lakiron ki wo gham tha kab se
gardish-e-rang ne paikar ko uchhaala kaisa
Ghazal
Bujhte suraj ne liya phir ye sambhaala kaisa
Zeb Ghauri