bujhte hue shoalon ko hua kyun nahin dete
phir aa ke hamein yar rula kyun nahin dete
ya ruTh chalo mujh se to ya TuT ke barso
har rose ka jhagDa hai chuka kyun nahin dete
shayad ki malaek teri nusrat ko utar aaen
fariyaad se phir arsh hila kyun nahin dete
har rose ka faqa hai mashaqqat se kaTega
rote hue bachchon ko sula kyun nahin dete
wahshat ke gali kuchon mein tar us ki rida hai
soe hue insan ko jaga kyun nahin dete
Ghazal
Bujhte hue shoalon ko hua kyun nahin dete
Shah Ji Ali