اردو हिंदी
Bujhne na do charagh-e-wafa jagte raho | Shaahi Shayari
bujhne na do charagh-e-wafa jagte raho

Ghazal

Bujhne na do charagh-e-wafa jagte raho

Mansoor Usmani

;

bujhne na do charagh-e-wafa jagte raho
pagal hui hai ab ke hawa jagte raho

sajdon mein hai KHulus to phir chandni ke sath
utrega aanganon mein KHuda jagte raho

alfaz so na jaen kitabon ko oDh kar
danishwaran-e-qaum zara jagte raho

kaisa ajib shor hai basti mein aaj-kal
har ghar se aa rahi hai sada jagte raho

pahle to us ki yaad ne sone nahin diya
phir us ki aahaTon ne kaha jagte raho

phulon mein KHushbuon mein sitaron mein chand mein
kholega koi band-e-qaba jagte raho

tum bhi suno ki shahr-e-KHamoshan mein raat din
sannaTe de rahe hain sada jagte raho

jab bhi qalam ko mere kabhi aain jhapkiyan
aankhon ne aansuon se likha jagte raho

'mansur' ratjage to muqaddar hain aap ka
jab tak jale suKHan ka diya jagte raho