bujhne de sab diye mujhe tanhai chahiye
kuchh der ke liye mujhe tanhai chahiye
kuchh gham kashid karne hain apne wajud se
ja gham ke sathiye mujhe tanhai chahiye
ukta gaya hun KHud se agar main to kya hua
ye bhi to dekhiye mujhe tanhai chahiye
ek roz KHud se milna hai apne KHumar mein
ek sham bin piye mujhe tanhai chahiye
takrar is mein kya hai agar kah raha hun main
tanhai chahiye mujhe tanhai chahiye
duniya se kuchh nahin hai sarokar ab mujhe
be-shak mere liye mujhe tanhai chahiye
Ghazal
Bujhne de sab diye mujhe tanhai chahiye
Anjum Saleemi