bujhi nahin abhi ye pyas bhi ghanimat hai
zaban pe kanTon ka ehsas bhi ghanimat hai
rawan hai sans ki kashti isi ke dhaare par
ye ek TuTi hui aas bhi ghanimat hai
nishan numu ke hain kuchh to bisat-e-sahra par
jhulasti jalti hui ghas bhi ghanimat hai
phir is ke baad tumhaari shanaKHt kya hogi
riwayaton ki ye bu-bas bhi ghanimat hai
wo ab bhi milta hai apni ada-e-KHas ke sath
ki waza-dari ka ye pas bhi ghanimat hai
Ghazal
Bujhi nahin abhi ye pyas bhi ghanimat hai
Arman Najmi