bujhi hai aag magar is qadar ziyaada nahin
dobara milne ka imkan hai irada nahin
kiya hai waqt ne yun tar tar pairahan
barahnagi ke siwa jism par labaada nahin
tera KHayal hai tanhaiyan hain aur main hun
mere nasib mein ab wasl ka iada nahin
mila bhi wo to kahan us ka nam likkhenge
kitab-e-zist ka koi waraq bhi sada nahin
na zat mein koi manzil na kaenat mein hai
safar karun to kahan koi mera jada nahin
hawa ke sath hi shayad badal gai duniya
ki jam jam nahin aur baada baada nahin
KHud apne sae mein hi baiThna paDa 'nasir'
koi shajar mere raste mein istada nahin
Ghazal
Bujhi hai aag magar is qadar ziyaada nahin
Nasir Zaidi