bujhi bujhi si sitaron ki raushni hai abhi
ye raat kis ke ishaaron ko DhunDhti hai abhi
na jaane meri nazar hi nahin hai jalwa-shanas
na jaane tere hi jalwon mein kuchh kami hai abhi
kuchh aise gunjti hai dil mein ahd-e-rafta ki yaad
ki jaise tu ne koi baat mujh se ki hai abhi
kisi ke husn se kheli hain umr bhar aankhen
ye lag raha hai nazar se nazar mili hai abhi
hazar qafile manzil pe ja ke lauT aae
meri nigah teri rah DhunDhti hai abhi
sambhal to jae tabiat magar sitam ye hai
ki is ke baad bhi ek aur zindagi hai abhi
Ghazal
Bujhi bujhi si sitaron ki raushni hai abhi
Sufi Tabassum