bujhi bujhi hai sada-e-naghma kahin kahin hain rabab raushan
Thahar Thahar ke gire hain aansu bikhar bikhar ke hain KHwab raushan
sawal mabhut se khaDe hain ki jaise sinon mein dil nahin hain
ufuq ke us par ja ke dekho shikasta muztar jawab raushan
wo bekasi hai ki al-atash ki sadaen KHamosh ho gai hain
kahan hai koi husain yaro ki har taraf hai sarab raushan
ajib ghamnak hain hawaen lahu lahu hai faza-e-ganga
taDapti maujen shikasta kashti bujhe diye aur habab raushan
ghulam gardish mein hai andhera hai dam-ba-KHud surKH sa sawera
kafan pahan kar nikal chuke hain gharib 'baqar' nawab-raushan
Ghazal
Bujhi bujhi hai sada-e-naghma kahin kahin hain rabab raushan
Baqar Mehdi