bujhe to dil bhi the par ab dimagh bujhne lage
hawa hai aisi ki sare charagh bujhne lage
ye kaisi pyas hai ai ahl-e-dard kuchh to kaho
ki tishnagi na bujhi aur ayagh bujhne lage
yahin kahin se to guzra tha karwan-e-murad
hawa-e-dasht Thahar ja suragh bujhne lage
abhi to dil mein farozan the yaad-e-gul ke charagh
abhi se kyun mere jazbon ke bagh bujhne lage
hawa se leni thi dad-e-mubarazat-talabi
baghair bhaDke hi ye kyun charagh bujhne lage
Ghazal
Bujhe to dil bhi the par ab dimagh bujhne lage
Tariq Butt