bujhe labon pe tabassum ke gul sajata hua
mahak uTha hun main tujh ko ghazal mein lata hua
ujaD dasht se ye kaun aaj guzra hai
gai ruton ki wahi KHushbuen luTata hua
tumhaare hathon se chhuT kar na jaane kab se main
bhaTak raha hun KHalaon mein TimTimata hua
nigal na jae kahin be-ruKHi mujhe teri
ki ro paDa hun main ab ke tujhe hansata hua
tu shahzadi mahakte hue ujalon ki
main ek KHwab andheron ki choT khata hua
mera badan ye kisi barf ke badan sa hai
pighal na jaun main tujh ko gale lagata hua
tumhaari aankhon ka pani kahin na ban jaun
main Dar raha hun bahut dastan sunata hua
Ghazal
Bujhe labon pe tabassum ke gul sajata hua
Alok Mishra