bujhe bujhe se charaghon se silsila paya
hujum-e-yas mein bhaTke to rasta paya
kisi KHayal mein ubhra umid ka chehra
kisi umid mein partaw KHayal ka paya
na jaane kitne gharondon ko TuTte dekha
kisi khanDar mein tamanna ka naqsh-e-pa paya
tamam raat naya but tarashte guzri
hui jo subh to us but ko TuTta paya
qadam qadam pe mile yun to qahqahe bikhre
darun-e-jism koi shaKHs chiKHta paya
tilism TuT gaya dhund chhaT gai 'shahid'
kahin pe Thahr ke sochen ki hum ne kya paya
Ghazal
Bujhe bujhe se charaghon se silsila paya
Shahid Mahuli