bujhai aag to raushan hua dhuan sa kuchh
hamare hath mein aaya hai raegan sa kuchh
qadam qadam pe dhaDakta hai dil umidon ka
qadam qadam pe hai dar-pesh imtihan sa kuchh
kahin pe naqs mile aur koi baat bane
wo DhunDte hain mere sud mein ziyan sa kuchh
wahi to ban gaya bais girani-e-jaan ka
rakha tha ghar mein kahin par jo KHanuman sa kuchh
ab us ke baad mukammal hai dastan-e-hunar
idhar-udhar mein biThaya hai darmiyan sa kuchh
koi sarab nahin hai ye meri KHush-nazari
jo dasht mein nazar aata hai gulistan sa kuchh
hamare nam wo mansub ho gaya kyun kar
zamin pe TuT paDa tha jo aasman sa kuchh
ab us ki shahr mein tashhir kyun karen ja kar
hua hai ganw mein apne jo na-gahan sa kuchh

Ghazal
Bujhai aag to raushan hua dhuan sa kuchh
Hamdam Kashmiri