اردو हिंदी
Bujha li pyas jo usne raha nadi ka nahin | Shaahi Shayari
bujha li pyas jo usne raha nadi ka nahin

Ghazal

Bujha li pyas jo usne raha nadi ka nahin

Pratap Somvanshi

;

bujha li pyas jo us ne raha nadi ka nahin
gharaz ka apni saga hai wo aadmi ka nahin

ajib chah hai us ki bhi dekhiye to zara
sabhi hon us ke bhale wo hua kisi ka nahin

KHushi mein us ki na aae nazar udas koi
magar udasi mein us ki guzar KHushi ka nahin

main us ke chehre pe luTi hui chamak ka gawah
kaha jo dukh hai ye mera bhi hai usi ka nahin