اردو हिंदी
Bujha ke rakh de ye koshish bahut hawa ki thi | Shaahi Shayari
bujha ke rakh de ye koshish bahut hawa ki thi

Ghazal

Bujha ke rakh de ye koshish bahut hawa ki thi

Mohsin Ehsan

;

bujha ke rakh de ye koshish bahut hawa ki thi
magar charagh mein kuchh raushni ana ki thi

meri shikast mein kya kya the muzmaraat na puchh
adu ka hath tha aur chaal aashna ki thi

faqih-e-shahr ne be-zar kar diya warna
dilon mein qadr bahut KHana-e-KHuda ki thi

abhi se tum ne dhuan-dar kar diya mahaul
abhi to sans hi lene ki ibtida ki thi

shikast wo thi ki jab meri sar-bulandi ki
mere adu ne mere waste dua ki thi

hum ab ghubar-e-mah-o-sal ki lapeT mein hain
hamare chehre pe raunaq kabhi bala ki thi