bujha charagh hawaon ka samna kar ke
bahut udas hua hun daricha wa kar ke
sukut TuT gaya aur raushni si hui
sharar sang se nikla KHuda KHuda kar ke
khula na din ko kisi ism se wo aahani dar
ab aao dekhte hain raat ko sada kar ke
uDunga KHak sa pahle-pahal aur aaKHir-e-kar
hawa-e-tund ko rakh dunga main saba kar ke
wo jis ke bojh se KHam bhi na thi hamari kamar
hum aaj aae hain wo qarz bhi ada kar ke
Ghazal
Bujha charagh hawaon ka samna kar ke
Rafiq Raaz