اردو हिंदी
Bujha bujha ke jalata hai dil ka shoala kaun | Shaahi Shayari
bujha bujha ke jalata hai dil ka shoala kaun

Ghazal

Bujha bujha ke jalata hai dil ka shoala kaun

Rifat Sarosh

;

bujha bujha ke jalata hai dil ka shoala kaun
dikha raha hai mujhi ko mera tamasha kaun

sabhi ke chehron pe mehr-o-wafa ka ghaza hai
kahun ye kaise paraya hai kaun apna

KHushi ki bazm mein ham-raqs hain sabhi lekin
karega par mere sath gham ka dariya kaun

bahaar aai hai lekin khile hain aag ke phul
har ek daraKHt mein rakh kar gaya hai shoala kaun

ye phul rang sitare faza ki ranai
uTha ke bhul gaya apne ruKH se parda kaun

yaqin tha use aana hai ek din lekin
achanak aai to dil ne dhaDak ke puchha kaun

waraq waraq pe mohabbat ki dastan likh kar
'sarosh' soch raha hun use paDhega kaun