bujha bhi jae koi aa ke aandhiyon ki tarah
ki jal raha hun kai yug se main diyon ki tarah
wo doston ki tarah hai na dushmanon ki tarah
main jis ko dekh ke hairan hun aainon ki tarah
main us ko dekh to sakta hun chhu nahin sakta
wo mere pas bhi hota hai faslon ki tarah
wo aa bhi jae to us ko kahan biThaunga
main apne ghar mein to rahta hun be-gharon ki tarah
na jaane raat gae kis ki nuqrai aawaz
khanakti hai mere kanon mein chuDiyon ki tarah
Ghazal
Bujha bhi jae koi aa ke aandhiyon ki tarah
Wakil Akhtar