bujh rahi hai aankh ye jism hai jumud mein
ai makin-e-shahr-e-dil aa meri hudud mein
paD gai daraD si kya darun-e-dil kahin
aa gai shikastagi kyun mere wajud mein
KHwahish-e-qadam ki hon us taraf hi gamzan
dil ki aarzu rahe us ki hi quyud mein
rang kya ajab diya meri bewafai ko
us ne yun kiya ki mere KHat jalae ud mein
tu ne jo diya hamein us se baDh ke denge hum
bewafai asal zar nafraton ko sud mein
baam-e-intizar par dekhta hun do diye
jhankta hun jab kabhi raftagan ke dud mein

Ghazal
Bujh rahi hai aankh ye jism hai jumud mein
Tahir Adeem