اردو हिंदी
Bujh gaya raat wo sitara bhi | Shaahi Shayari
bujh gaya raat wo sitara bhi

Ghazal

Bujh gaya raat wo sitara bhi

Ajmal Siraj

;

bujh gaya raat wo sitara bhi
haal achchha nahin hamara bhi

ye jo hum khoe khoe rahte hain
is mein kuchh daKHl hai tumhaara bhi

Dubna zat ke samundar mein
hai ye tufan bhi kinara bhi

ab mujhe nind hi nahin aati
KHwab hai KHwab ka sahaara bhi

log jite hain kis tarah 'ajmal'
hum se hota nahin guzara bhi