bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par
kohr ke kichaD mein taDpe hain parinde raat-bhar
jaane phir kin daldalon se aaKHiri aawaz den
apni be-manshur umren apne be-manzil safar
mere bahar chaar-su marti sadaon ka sarab
tu bikharna chahta hai to mere andar bikhar
tu kanwal ki shakl mein phuTega apni zat se
jism ki KHwahish ke gahre paniyon mein bhi utar
phir meri miTTi mein apni chahaton ki sunghna
pahle meri sans ke sunsan jangal se guzar
dil mein 'nasik' rah gai hain aarzu ki do lawen
ek KHush aadat si laDki aur ek chhoTa sa ghar
Ghazal
Bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par
Nisar Nasik