bujh gai sham-e-haram bab-e-kalisa na khula
khul gae zaKHm ke lab tera daricha na khula
dar-e-tauba se bagulon ki tarah guzre log
abr ki tarah umaD aae jo mai-KHana khula
shahr-dar-shahr phiri meri gunahon ki bayaz
baz nazron pe mera soz-e-hakimana khula
nazninon mein rasai ka ye aalam tha kabhi
lakh pahron mein bhi darwaze pe darwaza khula
hum pari-zadon mein khele shab-e-afsun mein pale
hum se bhi tere tilismat ka uqda na khula
ek ek shakl ko dekha hai baDi hasrat se
ajnabi kaun hai aur kaun shanasa na khula
ret par phenk gai aql ki gustaKH-labi
phir kabhi kashf-o-karamat ka dariya na khula
Ghazal
Bujh gai sham-e-haram bab-e-kalisa na khula
Mustafa Zaidi