bujh gai dil ki raushni rah dhuan dhuan hui
subah chale kahan se the sham hamein kahan hui
shauq ki rah-e-pur-KHatar tai to kar aae hum magar
nazr-e-hawadis-e-safar daulat-e-jism-o-jaan hui
ishq-o-junun ke wardat dida-o-dil ke sanehat
biti hui har ek baat dur ki dastan hui
koi bhi ab nahin raha jis ko sharik-e-gham kahen
daur-e-tarab ki yaad bhi shamil-e-raftagan hui
luT gai kaise dafatan raushniyon ki anjuman
aa ke kahan se KHema-zan zulmat-e-be-karan hui
kis ko KHabar ki hum ne kya KHwab bane hain umr-bhar
kis se kahen ki zindagi kis liye raegan hui
tarz-e-bayan to be-qayas the tere gham-zadon ke pas
bol uThi nigah-e-yas band agar zaban hui
Ghazal
Bujh gai dil ki raushni rah dhuan dhuan hui
Makhmoor Saeedi