bujh gae shoale dhuan aankhon ko pani de gaya
ye achanak moD dariya ko rawani de gaya
ab to us ki dhup mein jalta hai mera tan-badan
kya hua wo mehr jo subhen suhani de gaya
ji mein zinda ho gain kya KHwahishen bisri hui
phir koi yusuf zuleKHa ko jawani de gaya
phir hua ehsas yun mujh ko ki main ek naqsh hun
kaun taswiron ko hukm-e-be-zabani de gaya
peD nange ho gae raston pe patte hain abhi
han magar tufan kuchh yaaden nishani de gaya
main subuk-sar tha hawaon ki tarah par ab nahin
yak-ba-yak rukna tabiat ko girani de gaya
bolta chehra jhuki aankhen chhupa mat hath se
tera chup rahna mujhe kya kya maani de gaya
jaise mere pair mauj-e-wapsin par jam gae
har naya lamha koi surat purani de gaya
ai lab-e-goya na chhin jae kahin ye zaiqa
chaTiye wo zaKHm jo shoala-bayani de gaya
main ne 'shahid' aaine mein apni surat dekh li
ye zara sa waqia puri kahani de gaya
Ghazal
Bujh gae shoale dhuan aankhon ko pani de gaya
Saleem Shahid