bujh gae manzar ufuq par har nishan maddham hua
lamha lamha sara rang-e-asman maddham hua
thak gae ham-rah mere jagne wale sabhi
aaKHir-e-shab mujh mein bhi ek shor-e-fughan maddham hua
mahw ho jaunga main bhi ek din har zehn se
aainon mein jaise aks-e-raftagan maddham hua
raat Dhalte Dhalte aai subh ki dahliz tak
dil ne lai tabdil kar di saz-e-jaan maddham hua
hasil o darkar ki har fikr zail ho gai
ek nazar uTThi har ek rang-e-ziyan maddham hua
ab kahan wo sahra-zad o pasdaran-e-junun
sahra sahra wahshaton ka har nishan maddham hua
harf-e-dil-dari nahin rasm-e-dil-azari nahin
lahja-e-har-mehrban na-mehrban maddham hua
ek charagh ek aaina meri mata-e-be-baha
rah gaya harf-e-yaqin naqsh-e-guman maddham hua
har nishan-e-baam-dar jab miT gaya 'aslam' to kya
zor-e-tufan tham gaya aab-e-rawan maddham hua
Ghazal
Bujh gae manzar ufuq par har nishan maddham hua
Aslam Mahmood