bosida sahi zeb-e-qaba tak nahin aati
be-pairahan-e-jaan ko haya tak nahin aati
aaina ajal ka yun tah-e-KHak paDa hai
marqad ki fasilon se ziya tak nahin aati
gum-karda-e-idrak mein paiwast jabinen
dar-chashm-e-yaqin bu-e-wafa tak nahin aati
sahra ki jabinon pe ho shadabi to kaise
in shoalon pe shabnam ki rida tak nahin aati
dil rifat-e-dastar ki qamat pe magan hai
be-tabi-e-manzil kaf-e-pa tak nahin aati
hangama-e-auqat bhi hai raqs-e-fusun bhi
imkan ki chaukhaT pe sada tak nahin aati
Ghazal
Bosida sahi zeb-e-qaba tak nahin aati
Amir Nazar