اردو हिंदी
Bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao | Shaahi Shayari
bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao

Ghazal

Bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao

Ali Akbar Abbas

;

bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao
jismon ki is shahr-e-panah mein taza shahr basao

sare jism ka resha resha soch ki quwwat pae
phir har sans ka hasil chahe sadiyon par phailao

apna aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo
badbuen phaila deta hai pani ka Thahrao

muddat se kyun chaT rahe ho lafzon ki diwaren
sine mein maKHfi KHakon ki wazeh shakl banao

apna apna kafan utaren lashen uDti jaen
pyasi zaban nikale dharti chaTe apne ghao