bosa dete ho agar tum mujh ko do do sab ke do
jibh ke do sir ke do ruKHsar ke do sab ke do
le ke do ruKHsar ke bose jo mange sab ke do
aur to de denge bole par ye hain be-Dhab ke do
mangte tujh se nahin ai gul-badan kuchh aur hum
hai agar taufiq tum bose do nam-e-rab ke do
rozon mein gar pas apne aae wo rashk-e-qamar
bosa hum iftar ko mangen lab-e-atyab ke do
misal-e-yusuf ho raha hun main asir-e-chah-e-gham
bosa ai rashk-e-zuleKHa do mujhe abab ke do
main nahin hun mangta das bis tum se ya pachas
sirf do bosa lab-e-shirin ke hans kar ab ke do
hai KHushi ye aap ki ai mah-ru do ya na do
kaun kahta hai ki tum bose kisi se dab ke do
do do kar ke bosa-e-mauud jab main ne gine
hans ke puchha hain ikaTThe ye kiye kab kab ke do
tab kaha main ne ki sun lo sher mein kya sharm hai
subh ke do sham ke do din ke do aur shab ke do
donon ruKHsaron ke bose lenge hum ai sim-tan
do hamein is Dhab ke do tum aur do is Dhab ke do
'mashriqi' mashuq do pachchhim ke mahfil mein ho gar
do deccan ke chahiyen uttar ke do purab ke do
Ghazal
Bosa dete ho agar tum mujhko do do sab ke do
Sardar Genda Singh Mashriqi