bolti aankhen dekhin jagte lab dekhen
jo surat hum ne dekhi hai sab dekhen
jaane faza mein kab chalti hai mauj-e-hawa
baadal haT kar chand dikhae kab dekhen
aankhen band karen to kya kya jalwe hain
har su ghor andhere lapken jab dekhen
chanda chamke kaliyan chaTkin phul khilen
jis din us ko dekhen KHwab ajab dekhen
jism ek rahguzar hai dil miTTi ka diya
gul hota hai kab ye charagh-e-shab dekhen
shayad nur-e-sahar phaila ho ab har su
'arif' dil par patthar rakh kar ab dekhen
Ghazal
Bolti aankhen dekhin jagte lab dekhen
Manzoor Arif