boliye karta hun minnat aap ki
kyun mukaddar hai tabiat aap ki
phunke deti hai kaleja sine mein
shoala ban ban kar mohabbat aap ki
itni be-parwaiyan achchhi nahin
log karte hain shikayat aap ki
chandni munh par na paDne dijiye
maili ho jaegi rangat aap ki
ek dil rakhte the wo bhi kho chuke
ho gae muflis badaulat aap ki
dagh hum ko KHal sahab ko mila
ye nasib apna wo qismat aap ki
mar ke phir zinda hue samjhenge hum
jhel jaenge jo furqat aap ki
munh laga kar phir na hargiz puchhna
wah kya achchhi hai aadat aap ki
huren jannat se to pariyan qaf se
dekhne aati hain surat aap ki
meri surat se agar nafrat nahin
kyun badal jati hai rangat aap ki
ek bose par hazaron hujjaten
maniye kyun kar saKHawat aap ki
sun ke matlab saf aankhen pher lin
dekh li hum ne murawwat aap ki
phul ki ja pankhuDi ai bagh-e-husn
dagh-e-dil par hai inayat aap ki
har kisi ke samne rote ho 'bahr'
bah gai aankhon se ghairat aap ki
Ghazal
Boliye karta hun minnat aap ki
Imdad Ali Bahr