bojh uThae hue din raat kahan tak jata
zindagani mein tere sath kahan tak jata
muKHtasar ye ki main bosa bhi ghanimat samjha
yun bhi dauran-e-mulaqat kahan tak jata
subh hote hi sabhi ghar ko rawana honge
qissa-e-daur-e-KHarabaat kahan tak jata
thak gaya tha main tere nam ko japte japte
le ke honTon pe yahi baat kahan tak jata
chand tare to mere bas mein nahin hain 'azar'
phul laya hun mera hath kahan tak jata
Ghazal
Bojh uThae hue din raat kahan tak jata
Dilawar Ali Aazar