bistar bichha ke raat wo kamre mein so gaya
sabze pe mausamon ka lahu KHushk ho gaya
gum-nam din ki pichhli qataron ka fasla
aawaz ki hadon se bahut dur ho gaya
baen taraf ke raste sanson mein baT gae
agle qadam ki chap pe wo KHun ro gaya
suraj ka zulm sar ko jhulasta raha magar
din dhup ke athah samundar ko Dho gaya
saDkon ki bhiD kha gai pahchan fard ki
sochon ka shor shakl ki raunaq ko ro gaya
har ghar ke raste mein nadi aa khaDi hui
har rasta na jaane kahan ja ke kho gaya
in paniyon ke bhed koi jaanta nahin
wapas kabhi na lauT saka in mein jo gaya
Ghazal
Bistar bichha ke raat wo kamre mein so gaya
Sadiq