bismil kisi ko rakhna rasm-e-wafa nahin hai
aur munh chhupa ke chalna shart-e-wafa nahin hai
zulfon ko shana kije ya bhaun bana ke chaliye
gar pas dil na rakhiye to ye ada nahin hai
ek roz wo sitamgar mujh se hua muKHatib
main ne kaha ki pyare ab ye rawa nahin hai
marte hain hum taDapte phirte ho tum har ek ja
jaana ki tum ko hum se kuchh muddaa nahin hai
tab sun ke shoKH dilkash jhunjhla ke kahne laga
kya waza meri 'asif' tu jaanta nahin hai
Ghazal
Bismil kisi ko rakhna rasm-e-wafa nahin hai
Asif-ud-Daula