bisat-e-shauq ke manzar badalte rahte hain
hawa ke rang barabar badalte rahte hain
butan-e-rang bhi kuchh kam nahin hayulon se
qadam qadam pe ye paikar badalte rahte hain
chhupae chhupti nahin un se kohnagi dil ki
nae libas wo har-dam badalte rahte hain
rahi nahin kabhi yak-rang aasman ki jabin
huruf-e-lauh-e-muqaddar badalte rahte hain
qayam karta nahin dil mein chaar din koi
makin KHana-e-be-dar badalte rahte hain
bahut naya tha jo kal ab wahi purana hai
mazar-e-dahr ke patthar badalte rahte hain
Ghazal
Bisat-e-shauq ke manzar badalte rahte hain
Zahid Farani