اردو हिंदी
Bisat-e-ijz mein tha ek dil yak qatra KHun wo bhi | Shaahi Shayari
bisat-e-ijz mein tha ek dil yak qatra KHun wo bhi

Ghazal

Bisat-e-ijz mein tha ek dil yak qatra KHun wo bhi

Mirza Ghalib

;

bisat-e-ijz mein tha ek dil yak qatra KHun wo bhi
so rahta hai ba-andaz-e-chakidan sar-nigun wo bhi

rahe us shoKH se aazurda hum chande takalluf se
takalluf bartaraf tha ek andaz-e-junun wo bhi

KHayal-e-marg kab taskin dil-e-azurda ko baKHshe
mere dam-e-tamanna mein hai ek said-e-zabun wo bhi

na karta kash nala mujh ko kya malum tha hamdam
ki hoga bais-e-afzaish-e-dard-e-darun wo bhi

na itna burrish-e-tegh-e-jafa par naz farmao
mere dariya-e-be-tabi mein hai ek mauj-e-KHun wo bhi

mai-e-ishrat ki KHwahish saqi-e-gardun se kya kije
liye baiTha hai ek do chaar jam-e-wazh-gun wo bhi

mere dil mein hai 'ghaalib' shauq-e-wasl o shikwa-e-hijran
KHuda wo din kare jo us se main ye bhi kahun wo bhi

mujhe malum hai jo tu ne mere haq mein socha hai
kahin ho jae jald ai gardish-e-gardun-e-dun wo bhi

nazar rahat pe meri kar na wada shab ke aane ka
ki meri KHwab-bandi ke liye hoga fusun wo bhi