bisat-e-danish-o-harf-o-hunar kahan kholen
ye sochte hain lab-e-mo'tabar kahan kholen
ajab hisar hain sab apne gird khinche hue
wajud ki wahi diwar dar kahan kholin
paDaw Dalen kahan raste mein sham hui
bhanwar hain samne raKHt-e-safar kahan kholen
yahan shuur ke naKHun to hum bhi rakhte hain
magar ye uqda-e-fikr-o-nazar kahan kholen
na is ke sath hamara bhi mol hone lage
hain kashmakash mein ki musht-e-guhar kahan kholen
hawa hai tez na is ke waraq uDa le jae
sahifa-e-nafas-e-muKHtasar kahan kholen
bachaen aabru jismon ki bhiD mein kaise
hai kholni girah-e-jaan magar kahan kholen
koi 'faza' to mile hum ko qabil-e-parwaz
ab in hadon mein bhala baal-o-par kahan kholen
Ghazal
Bisat-e-danish-o-harf-o-hunar kahan kholen
Faza Ibn e Faizi