bisat-e-bazm ulaT kar kahan gaya saqi
faza KHamosh, subu chup, udas paimane
na ab wo jalwa-e-yusuf na misr ka bazar
na ab wo husn ke tewar, na ab wo diwane
na harf-e-haq, na wo mansur ki zaban, na wo dar
na karbala, na wo kaTte saron ke nazrane
na bayazid, na shibli, na ab junaid koi
na ab o soz, na aahen, na haw-hu KHane
KHayal-o-KHwab ki surat bikhar gaya mazi
na silsile na wo qisse na ab wo afsane
na qadr-dan, na koi ham-zaban, na insan dost
faza-e-shahr se behtar hain ab to virane
badal gae hain taqaze mizaj-e-waqt ke sath
na wo sharab, na saqi, na ab wo mai-KHane

Ghazal
Bisat-e-bazm ulaT kar kahan gaya saqi
Peer Nasiruddin Shah Naseer