اردو हिंदी
Biphri lahren raat andheri aur bala ki aandhi hai | Shaahi Shayari
biphri lahren raat andheri aur bala ki aandhi hai

Ghazal

Biphri lahren raat andheri aur bala ki aandhi hai

Abrar Hamid

;

biphri lahren raat andheri aur bala ki aandhi hai
girdabon ne bhi ghera hai naw bhi TuTi-phuTi hai

kis ne rakh Dale angare dil si shaKH ki aankhon par
wo kyun bhula ye KHushiyon ke phul khilane wali hai

jis ko tera sath mila wo KHush na rahe kyun phulon sa
tera to chhu lena tak bhi hijr ke rog mein shafi hai

had mein ho to pyar hai achchha warna ye bhi zahmat hai
jaise ek chingari bhaDke to jangal par bhaari hai