bin tere kya karun jahan le kar
ye zamin aur ye aasman le kar
ashk chhalkae baal bikhrae
wo gae meri dastan le kar
do jahan ki talab se farigh hun
tera dar tera aastan le kar
uD gae sab chaman ko rah gae hum
chaar tinkon ka aashiyan le kar
rang-e-mahfil tera baDhane ko
aae hum chashm-e-KHun-fishan le kar
sab gae puchhne mizaj un ka
main gaya apni dastan le kar
sab phire le ke apne yusuf ko
main phira gard-e-karwan le kar
sab uDe le ke phul gulshan se
aur hum apna aashiyan le kar
meri taqdir kya bataun 'jalil'
ja rahi hai kahan kahan le kar
Ghazal
Bin tere kya karun jahan le kar
Jaleel Manikpuri